LYRIC

Mc Tod Fod

[Verse 1] Dikhati sapne sadke dekh kabhi tu unpe chalke
Dukaan pe ghumti nazre shauk sabhi hai pure karne
Badhti mehangai, badh rahe mang aur badhte kharche
Fir sunta charche har tedhe kaam ke jo hum hai karte
Aur ladke toh sabhi chalak rula de karke mazak
Sarpe na kisika hath sabpe hai ankh na pehne nakli naqaab
Tu gali se bhag tu badal naad hood chode na tera sath
Lafango me la tu vishwas aur samajhdaar ko ishara tu dal
Kuchal ke badhta kaal na hota kaam bas zhadte baal
Tu bas fukta maal aur ghumate tujhe hai tere
Khayal
Tere yaar sare aware gawar sangat aisi hai bekaar
Unko sudhaar lake bhitar badlav rahe na koi sadak chap
Hoshiyar banata jeena sikhata
Mushkil me gire toh kabhi kutey jaisa bhagata
Jeena chunoti yaha koi na bharosa yahaka
Bhuka pyasa na rehta insaan yaha agar wo shanaa

[Hook] Kabhi ulzhati kabhi raste milati bhalte
Kabhi dilati yadein sab purane bichde pal ke
Jaha insaan badhta hai ek dusre ko chal ke
Sapne dikhati sadke dekh kabhi tu unpe chalke x2

[Verse 2] Anubhav karta me jud jata in sadko se
Kavita likhta me bhasha aur aksharo se
Jine sunke pighalte dil ye patharon ke
Bina bake jaha bas ek muskan banati rishte
Kiski kamai kisika yahi ghar
Na ginte kilometer koi karte rehte safar bas
Akalmand bane jeeke is level par
Jiska shukra guzaar rahunga me zindagi bhar
Yahi par sikha mushkilon ko zhelna
Ye khelna, kamjoro ka yaha bas tikta billa
Neend na mehnati ko aaram se buzdil sota
Har chota bachkana bhi yaha pe bajta khota
Kabhi sochu kahi chale jane ki dur
Koi thikane bas jau jo na ho jyada mashoor
Jaha le jati rahe mann ko bhaye wo me karu
Aise Jeena rehna kiya mene yahi se shuru

Added by

Admin

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ADVERTISEMENT