LYRIC

Bhooli huwi hoon dastan guzra huwa khayal hoon
Jis ko na tum sumjh sakay main aisa aik sawal hoon

Tum nay mujhay bhula dia, nazaroon se yun gira dia
Jaisay kabhi milay na thay, ik rah per chalay na thay
Tham jao mere ansoun un se na kuch gilla karo
Woh husan ki misal hain, main ishq ka zawal hoon
Jis ko na woh sumjh na sakay main aisa aik sawal hoon

Karna hee tha agar sitam, dena tha umar bhar ka ghum
Ehad-e-wafa kia tha kyun, chahat se dil dia tha kyun
Tum nay nigha pher li ab main hoon meri bebasi
Weeran shab kay chanda ka khoya huwa jamal hoon
Jis ko na tum sumjh sakay main aisa aik sawal hoon

Bhooli huwi hoon dastan guzra huwa khayal hoon
Jis ko na tum sumjh sakay main aisa aik sawal hoon

Added by

Admin

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ADVERTISEMENT